Shirk Se Bachen
Ye Kalimah hamari pehchan hai.
Mgr ham isi kalimah k sath gaddari karte hain,
Jab kabhi ham kisi hasti ko Allah ki mohabbat ya Allah ki tazeem ya Allah k ikhtiyar ke ba muqabala khada kr dete hain.
Kya ham Allah k bande nahi, kya ham musalman nahi, phir aakhir kyu hame kisi aur hasti ki yad aaye jab ham kisi mushkil mai hon, Kyu ham kisi zariye ko talash kare.
Kya iski waja ye to nahi ki hame lgta h ki ham is qabil nahi ki Allah se direct dua karen, agr aisa hai to ham Allah ki ibadat kese direct krte hain?
Kya ibadat k liye bhi koi zariya talash kiya ja sakta hai? Nahi na!
Agr khud mai kami mehsoos hoti hai to chahiye ki apni islah ki jaye.
Mgr Allah to ghair muslims ki bhi sunta hai na, chahe wo Allah ki hasti ko mane ya na mane, chahe wo kisi aur ko khuda bana len phir bhi Allah unki bhi zaruriyat pura karta hai.
To phir ham musalmano ki dua kyu nahi sunega? Kabhi Allah se rabta bana kr to dekhen, ham kyu koi zariya talash kare jabki Allah ne Qur'an mai farmaya hai ki 'Mujhe Pukaro, Mai tumhari dua qubool karunga.' (40:60 )
Ye bat yad rakhe ki Allah ki zaat ya uski sifat mai kisi ko sharik krna, chahe zuban se ya amal se, is duniya mai kiya jane wala sab se bada gunah hai, aur Allah ne aese logo ko zalimo mai shumar kiya hai.
'Beshak shirk bada bhaari Zulm hai' (31:13)
Allah hame shirk se mehfooz rakhe aur jo ghaltiya hamse ho chuki hain unhe maaf farma de, Aameen
@muslimavh
Comments
Post a Comment